Asslam O Alaikum friend how are you? Jaisa kay aap main say bohat say dosto ko pata hay keh Mobilink nay apney users kay liyea aaj kal aik contest shuru kia hua hay. jis main hissa lay kar user Rozana 50000 Weekly 500000 aur contest kay end par grand prize 500000 win kar sakta hay. Meray bohat say friends es ko fraud aur galat samjtey hain. Lakon meray aik Colleague Hafiz Muhammad Ilyas nay be es contest main hissa liya aur 50000 ka prize win kia hay. Aaj Mobilink office gujranwala say usey 50000 ka cheque mila aur main be us kay sath tha. wahan Service centre Manager Mr. Nauman Javaid sb. nay yeh cheque un ko dia. Yahan par main chand photes upload kar raha ho to kia khayal hay friends aap be hissa lain aur jeetye Inamaat. aur apney comments zaroor dee jiya ga. kis kis nay es main hissa liya hay. Main nay to lia hay. ab daikhein shayed meri pic be aa jaye idir. Just pray
<img src="file:///C:/DOCUME%7E1/mubashar/LOCALS%7E1/Temp/moz-screenshot.png" mce_src="file:///C:/DOCUME%7E1/mubashar/LOCALS%7E1/Temp/moz-screenshot.png" alt="">
<img src="file:///C:/DOCUME%7E1/mubashar/LOCALS%7E1/Temp/moz-screenshot-1.png" mce_src="file:///C:/DOCUME%7E1/mubashar/LOCALS%7E1/Temp/moz-screenshot-1.png" alt="">
main JAZZ ka customer to nahi hun so es offer main hissa nahi ley sakta but... PEPSI ki aik Offer main maine 1000 ka balance jeeta tha last year wo bhi JAZZ ka ;D ....
Yaar mein is mein kaafi paisay berbaad ker chuka houn , her dafa yehi message aata hai ke aap sirf aik sawal door hain aaj ke contest mein shamil honay ke liye , lekin kabhi yeh message nahin aaya ke aap contest mein shamil ho gaye hain , inaam to bohar door ki baat hai , yeh to itnay paisay khaanay ke bad contest main bhi shamil nahin kertay hamara naam . Yeh Bohat Bara FROUD hai , Main yakeen say keh sakta houn kiuon k mein ne baray paisay berbad ker diye hain aor kuch bhi nahin mila
humraaz agar aap nay aik be sms kar k es contest main hissa lia hay to har roaz ki qurra andazi main aap ka naam aa raha hay. aap es conteset main shamil ho gaya ho. aur jitney ziada points ho gain itney ziada chances ho gain win karney kay. waisey yeh to luck ki baat hay. keh kis ka naam qura andazi main aa jay. mujy be pehlay yakeen nehi tha aisey contests par lakon ab to meray colleague ka inaam mikla hay to ab to man na he parey ga. aur aik baat yeh keh Mobilink walo nay es sms ka rate bohat ziada rakha hay es ka rate kam hona chahyea tha.
mai to nahi use karta hoon, magar mery aik dost ne bhi 100 tak balance kharch kia per usy kuch nahi mila, koi limit to hona chahyee, k kaha tak jana aur ab mai kaha pe khara hoon
@zaki,
this is not free my bro, u will be charged for every msg,







